 
    ab toh mere khuda mujhe jalwa dikhaaiye 
apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye 
kuch keh rahi hain aap se seene ki dhadakanen 
mera nahi to dil ka kaha maan jaaiye 
apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye 
main jaanta hoon tu bada rahamat-navaaz hai 
sab ke dilon pe raham ka jaadu jagaaiye 
apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye 
muddat se tishnagi hai tumhaare jamaal ki 
noor-e-kamaal se zara parda uthaaiye 
apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye